MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community - View Single Post - khamosh tha khamosh hi reh jaye gi ab ye muhabbat
View Single Post
(#1)
Old
~ Bikhre Lamhe ~ ~ Bikhre Lamhe ~ is offline
Koi Tu Ho
 


Posts: 7,158
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Feb 2009
Location: canada
Gender: Male
Salam khamosh tha khamosh hi reh jaye gi ab ye muhabbat - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   10-05-2009, 09:52 PM








Na ye chahat rakhi thi khabi k tum sirf mere hi bano
main tu hamesha bas tuje chahta rehta tha

na ye arzoo ki khabi k mere pyaar ka jawab do
sirf pyaar hi pyaar se main dekhta tuje rahta tha

ek ehsas tha dil mein jo tuje dekh jagh uthta tha
us ehsas ko khamoshi se mehsos mein karta rehta tha

teri hi raahon mein thi bas tere qareeb rehne ko
tu dekh na "saqi" muje chup chup tuje niharta rehta tha

guzar gaye din guzar gaye kahi saal aise hi
tere hi khwaab aankhon me sajate rehta tha

na chaha khabi ye khwab tum aa kar puri karo
dil ke armaan dil mein paida kar wahin todta rehta tha

khamosh lafz khamosh aankhin khamosh zindgani
is terah waqat k sath main jeeta rahta tha

janta tha tootin ge ye pyaar k khwab ek din
is liye inhin khud-ba-khud hi main bikharta rehta tha

tu ha aaj kisi our ki lekin main houn sirf tera
apni pyar bhari dunia mein main tuje basata rehta tha

na tuje kal khabar thi na aaj khabar ha ye,
muskurahat mein har eik ashq mein peeta rehta tha

meri chahat thi bas yahi ki tuje chahta rahon
teri khushiyon ko tere qareeb rakh k mein niharta rehta tha

janta tha agar main ne iqraar kar dia muhabbat ka
na koi rishta reh paye ga phir tere qareeb rehna chahta tha

ek maamoli dost ban kar hi sahi manzoor tha muje
bas teri zindagi mein rehne ko pyaar ko mein dabata rehta tha

teri awaaz sun sakoon tuj se baat kar sakoon
is khatir nigahon ko apni khamosh karata rehta tha

jo tuje pata chal jata kitni muhabbat ha tum se
janta houn phir na koi apna rishta reh pata

chup chup ke sahi ye pyaar nibhayon ga mein zindagi bhar
khamosh tha khamosh hi reh jaye gi ab ye muhabbat

 






Agar wo pochin tu un se kehna un ka aashiq basta tha yehan
Dikhana un ko wo peepal ka peid
our kehna gaane wo tenhai mein gungunata tha yehan
Le jana un ko darwaze pe our kehna intezar
wo kiya karta tha yehan
Phir rakhna ungli dil pe our kehna
Shikayat karta tha k dard hota ha yehan

~ Bikhre Lamhe ~
Reply With Quote Share on facebook
Sponsored Links