Koi Tu Ho
|
|
Posts: 7,158
Country:
Star Sign:
Join Date: Feb 2009
Location: canada
Gender:
|
|
tuje jab dekha tha main ne pehli baar
khabi na socha tha ki
pyar karon ga tuj se
par ho geya muje tuj se pyar sacha pyar
meri zindgi ki kehani ban geya tha tu
tere sath hi thi khushiyan
tere sath hi gham
jo kante tuje chubhte un ka dard muje hota
jab dukh hota tuje aanso mere hi nikalte
tera naam meri roh ka naam ban geya tha
par tu ne apni roh ko kisi our ka naam diya
tu bywafa nai tha
na hi ha muje tuj se koi gila ya shikwa
tu thik tha apni jhaga
par shayid mera pyaar karna jayiz na tha
apne pyaar ko kisi our k hawale kar
bhag aaya main
apne aap se
par teri yaadon se na bhag saka main
aaj bi aankhin band kar ke
sirf tera chehra nazar aata ha
hathon se banti ha tu sirf teri tasvir
labon se nikalte hain tu bas tere fasane
qalam bi likhti ha tu sirf teri dastan
door reh kar bi mere paas ha tu
toote dil ka aaj bi zinda ehsas ha tu
door tu hum khabi the hi nai
kyun k roh jo thi teri mere undar
mera dosra naam ha tu
meri har khwaish hai tu
ab tu hi bata
kaise jiyon main?
ye tenhaai muje jeene nai deti
our teri yaadin muje marne nai deti
teri yaadin hi ab meri zindagi hain
our inhin k sath main ji loun ga
aansoon ki ye likhi kehani ha
teri nishani ha muje mein Dost
tera hi tha
tera hi houn
our tera hi rahon ga
Teri Qasam
Agar wo pochin tu un se kehna un ka aashiq basta tha yehan
Dikhana un ko wo peepal ka peid
our kehna gaane wo tenhai mein gungunata tha yehan
Le jana un ko darwaze pe our kehna intezar
wo kiya karta tha yehan
Phir rakhna ungli dil pe our kehna
Shikayat karta tha k dard hota ha yehan
~ Bikhre Lamhe ~
|