Ahl-e-dil aur bhi hain - Ahl-e-wafa aur bhi hain
Ek hum hi nahi - Duniya say khafa aur bhi hain
Kya hua gar mere Yaaro ki zubaanay chup hain
Mere Shaah-hid mere Yaaron ke siva aur bhi hain
Hum pe hi khatam nahin maslaak-e-SHoridda saari
CHaak-e-dil aur bhi hain - Chaak-e-Qabba aur bhi hain
Sar Salaamat hay to kya sang-e-malaamat ki kammi
Jaan baaqi hay to Paikaan-e-Qazaa aur bhi hain
Munsif-e-shaher ki Wazahat pe na Harf aa jayaay
Log kehtaay hay - Arbaab-e-JAFFA aur bhi hain..
Hun mein is ada se bhi aashna tujhe itna jis pe gharoor hai
mein jeon ga tere beghair bhi mujhe zindagi ka shaoor hai
Yeh pathron ka shaher hey - yahan to ansoo bhi jum jate hain