kaha us ne Mohabbat meiN aazmahish na kiya karo
kaha maine isse nibhane ki farmahish na kiya karo
kaha us ne dubaraa mud kar tum na dekhna mujh ko
kaha maine dekhe bin ab gawara nahi jeena mujh ko
kaha us ne kitabon ke panne palat kar sochana kyuN?
kaha maine sochti hu bin mere tum itne tanhaa KyuN?
kaha us ne judai kaa pal bhi kitna duswaar hota hai
kaha maine Jivan ye fir bhi kisi par nisaar hota hai
kaha us ne haatoN meiN mehandi sajaa kar milnaa
kaha maine sar-e-aam chahat apni jataa kar milnaa
kaha us ne wafaa kii ummiid nahi e bewafaa tujh se
kaha maine bewafaa sahii nibhaaungi wafaa tujh se
kaha us ne kab is begane ko kisika sahara milega
kaha maine tham le haath ye tujh ko kinaara milega
MAIN NEEND ki ziyada SHOKKeeen To NAHN FAraz
MAGAr jab tak unhain kHUWAAb main na dekhLOOOn suKOOOn nahn MILTA