|
|
Posts: 63,598
Country:
Star Sign:
Join Date: May 2009
Location: In my Dream... world...
Gender:
|
|
Hansnay K Zamanay Aaye
Jab bhi hansnay k zamanay aaye
Zakham phir yaad puranay aaye
Baar-ha unko manaaya tou humain
Rooth janay k bahanay aaye
Phir mujhe toot k chaha us ne
Phir bicharrnay k zamanay aaye
Muskura kar humain milnay waalay
Zindagi bhar ko rulanay aaye
Kitni mehroom theen neendain unki
Khawab bhi jin ko jaganay aaye
Teri chahat ne thehrnay na diya
Raah mein kitnay thikanay aaye
Tu nahin hai tou hawa ka jhonka
Ghar ki zanjeer hilaanay aaye
Dil bujha hai na jalay hain khaimay
Aap kiyun jashn mananay aaye...?
Issi umeed pe jaago yaaro
Ab woh kiss waqt na janay aaye
Raas aaya jinhain sehhra Kanwal
Un ki qismat mein khazanay aaye........
|