MAIN OR MERI TANHI
|
|
Posts: 323
Country:
Star Sign:
Join Date: Aug 2009
Location: In Lahore But Belong To Manshera Balakot
Gender:
|
|
Tum hoti to kaisa hota,
Tum yeh kahti, tum woh kahti,
Tum is baat pe hairaaan hoti, tum us baat pe kitna hasti,
Tum hoti to aisa hota, tum hoti to waisa hota,
Main aur meri tanhaiyan - aksar yeh baatain karte hain
Yeh raat hai ya tumhari zulfain khuli hui hain,
Hai chandni ya tumhari nazron se meri raatain dhuli hui hain
Yeh chand hai ya tumhara kangan, sitarin hain ya tumhara anchal
Hawa ka jhoka hai ya tumhare badan ki khushboo,
Yeh pattiyon ki hai sarsarahut, ke tumne chupke se kuch kaha hai,
Yeh sochta hoon main kab se gum sum ke jab ke mujhko yeh bhi khabar hai
Ke tum nahi ho, kaheen nahi ho magar yeh dil hai ke kah raha hai
Ke tum yaheen ho, yaheen kaheen ho !
Majbooriyon ki haalat, idhar bhi hai, udhar bhi,
Tanhaye ki ek raat idhar bhi hai udhar bhi,
Kahne ko bohot kuch hai magar kis se kahe hum
Kab tak yoon hi khamosh rahain aur sahe hum
Dil kahta hai duniya ki har ek rasam uthaa dain
Diwar jo hum dono main hai aaj giraa dain
Kya dil main sulagte rahain, logon ko bata dain,
Haan hum ko Mohabbat hai - Mohabbat hai - Mohabbat










|