Jo chala geya muje chor ker
main khabi na us ko bhula saka
wohi duriyan wohi fasle
main khabi na un ko mita saka
kya use bi mujh say payar tha?
ya shayid use shaor tha
wo koi ajeeb sawal tha
jo meri samjh main na a saka
meri zindagi ka sakoon tha wo
mere dil ka aik junoon tha wo
yahi sochta tha main raat bhar
yahi baat na main us ko bata saka
jo khabi mile ga bahir tu
karon ga main us se shikaytin
wo mila tu main lab na hila saka
main khabi na us ko bhula saka
Agar wo pochin tu un se kehna un ka aashiq basta tha yehan
Dikhana un ko wo peepal ka peid
our kehna gaane wo tenhai mein gungunata tha yehan
Le jana un ko darwaze pe our kehna intezar
wo kiya karta tha yehan
Phir rakhna ungli dil pe our kehna
Shikayat karta tha k dard hota ha yehan
~ Bikhre Lamhe ~