Rah-E-Dahar Main Tharra He Jaata Hai
Qadam Insaan Ka Rah-E-Dahar Main Tharra Hi Jaata Hai
Chalay Kitna Hi Koi Bach K Thokar Khaa Hi Jaata Hai
Nazar Ho Khowah Hi Haqaaiq Aashnaa Phir Bhi
Hujoom-E-Kashma Kash Main Aadmi Ghabra Hi Jaata Hai
Khilaaf-E-Maslehat Main Bhi Samajhta Hoon Magar Naaseh
Woh Aatay Hain Tu Chehray Par Tahayur Aa He Jaata Hai
Hawaain Zoor Kitna Hi Lagaayein Aandhiyaan Ban Kar
Magar Jo Ghir K Aata Hai Woh Baadal Chaa He Jaata Hai
Shikaayat Kion Issay Kehtay Ho Yeh Fitrat Hai Insaan Ki
Museebat Main Khayaal-E-Aish- E-Rafta Aa He Jaata Hai
Samajhti Hain Ma'al-E-Gul Magar Kia Zoor-E-Fitrat Hai
Sahar Hotay He Kaliyon Ko Tabassum Aa Hi Jaata Hai