Usey Apney Farda Ki Fikar Thi,Wo Jo Mera Waqif-e-Haal Tha
Wo Jo Us Ki Subhay Arooj Thi,Wohi Mera Waqt-e-Zawaal Tha
Mera Dard Kaisey Wo Janta ,Meri Baat Kaisey Wo Manta
Wo To Khud Fana K Safar Mein Tha,Usey Rokna B Mahaal Tha
Kahan Jao Gey Mujhey Chhor Ker,Main Yeh Pooch Pooch K Thak Gaya
Wo Jawab Mujh Ko Na De Saka,Wo To Khud Sarapa Sawaal Tha
Mohabbaton ka hissab tha na adaawaton ka shumaar tha
Kabhi uss ski zaat azaab thi kabhi rooh ka woh qaraar tha
Meri piyaas itni hi barh gai keh saraab jitney mile mujhe
Hua dhokha jis pe gulaab ka woh sulagta jalta sharaar tha
Usse main ne mur ke sadaa na di keh palat gaya tha woh rah se
Main khizaan hua to pata chala meri zaat ka woh nikhaar tha
Tu bhi dor hai main bhi door hoon kion alag huey hain yeh raaste
Teri chahton ka gurez tha yah MERI ANA KA HISAAR tha
Who ager kisi ko mile kahin to koi bata de usse zara
Mere fann-e-sher ki be khudi tere ishq ka hi khumaar tha
Wo Jo Us K Samney aa Gaya,Wohi Roshni Mein Naha Gaya
Ajab Uski Hebat-e-Husan Thi,Ajab Uska Rang-e- Jamaal Tha
Dam-e-Wapsi Usey Kaya Huwa Na Wo Roshni Na Wo Taazgi
Wo Sitaara Kaisey Bhikar Gaya,Wo To Aap Apni Misaal Tha
Wo Mila To Sadiyon K Baad B Merey Lab Pe Koi Gila Na Tha
Usey Meri Chup Ne Rula Diya Jisey Guftagoo Mein Kamaal Tha
Mery Saath Lag Ker Wo Ro Diya,Mujhy FAKHRI Wo Itna Keh Saka
Jisey Janta Tha Main Zindagi,Wo To Sirf Wehm-o-Khayaal Tha