Un ki aankhon ki ijazat maar day gi
Mujhe is baar hijrat maar day gi
Hansi main dukh chupa laita hon apnay
Kisi din ye saholat maar day gi
Kabhi socha na tha teray hotay
Koye taaza mohabbat maar day gi
Kisi ko apna dushman hi bana lon
Wagar na ye faraghat maar day gi
Mohabbat karnay say pehlay pata tha
Qabeelay ki riwayat maar day gi
Hasan ye waqat aanay per khulay ga
Kisay kis ki zarorat maar day gi