Ajnabi sheher k Ajnabi rastay
meri tanhaIi per muskuratay rahay ,
main bohat der tak yunhi chalta raha
tum bohat der tak YAAD atay rahay ,
zeher milta raha, zeher peetay rahay
roz mertay rahay, roz jeetay rahay
zindagi bhi hamain azmati rahi
or hum bhi usay azmatay rahay ,
Kal kuch aisa howa, main bohat thak gaya
is liyay sun k bhi un suni ker gaya
kitni YAADON ke bhatkay howay karwaan
DiL kezakhmon ke darr khatkhatatay rahay ,
zakhm jab bhi koii zehn o DIL per laga
zindagi ki taraf ik dareecha khula
hum bhi goyaa kisi saaz k taar hain
chott khatay rahay, gungunatay rahay.......
Hussain Ke Dushman Ki Sab Se Bari Baat Yeh Hai
Ke Woh Hussain Ka Dushman Hai...