MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community - View Single Post - Give ur comments plz
View Single Post
(#2)
Old
Humaila Humaila is offline
 


Posts: 2,387
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Sep 2008
Location: Norway
Default >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   07-31-2009, 12:44 AM

Pehli baat yhe k insaan jub aise namaz pareh jaise muhammad(sww) ney farmaya hai hadiths mein.. kyo k wohi sahi tariqa hai.. aour namaz ki wajha se osske dil mein khauf paida ho jata hai aour oss kahuf ki wajha se woh dono haqoq-Allah aour haqooq-ul-ebad dono ko poora karta hai.. Kyo k osskey dil mein kahuf-e-khuda hota hai.. Kyo k jub hum insaan namaz partey hai to Allah(swt) humarey dilo mein aik narmi si paida kar deta hai.islye aghar hum koi ghalt kam kartey hai to humey dukh hota hai .. ... Allah (swt) farmata hai .. "Beshak namaz behayai aour borey kamon se bachati hai.. "
Aghar hum namaz sahi tareeqe se ada karey..

Allah se khauf karna isska matlab yhe nahi hai k , hum kampna shoro kar dey Allah ka nam sun kar.. Balkey khauf-e-khuda yhe hai k hum ghalt kam nahi kartey.. Aisa kam jo Allah(Swt) aour Muhammad(sww) k hauqam k khilaaaf hoon.. .. woh kam nahi kartey..

Allah (swt) oss insaan ko hidayat deta hai jo hidayat lena chahta hai.. Jub hum sahi tareeqe se namaz ada kartey hai to Allah(swt) humey boorey kamon se door karta hai.. ..

Baqi Allah(swt) behtaar jan'ey wala hai..