 |
|
|
Posts: 335
Country:
Star Sign:
Join Date: Apr 2009
Location: mumbai
Gender:
|
|
Waha mujhe koi dekhta, bolta hi nahi hai. Jaise ki main is duniya mein hun hi nahi. Phir waqar younis bhi waha pahuch jata hai aur aram farmane lagta hai. Waqar younis ke ghar mein ane se mere ghar mein ek ajab sa muslim vatavaran ban jata hai, anokha jiski mujhe barso se chahat/talash thi. Aj kal ki duniya he neo world, isme muslimo ka koi jasba, culture nahi dikhta. Sab log hawa mein tayerne ki soch te hai, payr jamin par rakhkar. Tabhi mein tv on karta hun. Toh usme ek kabeer khan ki tasveere dikhaye deti hai. Mein waqar se puchta hun ki yeh kaun hai? Toh waqar younis muslimo jaise bolta hai- yeh admi inqlab azadi ke liye ladhne wala hai. Toh mein puchta hun- ki kaunsa saal chal raha hai? Toh waqar bolta hai- abhi 1970 chal raha hai. Phir mein bolta hun ki yeh muslim kyun azadi movement ke liye ladh raha hai. Waqar bolta hai ki india ke sare muslim log barso pehle hi sab pagal ho chuke hai. Phir mein bolta hun- aur phir india ke hindu log? Tabh waqar mujhe mere mind ke andar anokhi jhalak dikhata hai....
|