|
|
Posts: 14,313
Country:
Star Sign:
Join Date: Aug 2008
Location: karachi
Gender:
|
|
dekhnaa hai wo mjh par meharbaan kitna hai
asaliyat kahaan tak hai aur gumaan kitna hai
kyaa panaah deti hai aur ye zamin mujh ko
aur abhi mere sar par aasamaan kitna hai
kuch Khabar nahi aati kis ravish pe hai tuufaan
aur kataa phataa baaqi baadabaan kitna hai
tor phor karti hen roz Khwaahishen dil men
tang in makaanun se ye makaan kitna hai
kya uthaye phirta hai baar-e-aashiqi sar par
aur dekhne men wo dhaan-paan kitna hai
harf-e-aarazu sun kr jaanchane laga yaani
is men baat kitni hai aur byaan kitna hai
phr udaas kr degi sarsuri jhalak us ki
bhool kr ye dil us ko shaadmaan kitna hai
|