|
|
Posts: 1,490
Country:
Star Sign:
Join Date: Feb 2009
Location: Denmark
Gender:
|
|
Kalam-e-Iqbal
Kabhi Aye Haqiqat-E-Muntazar, Nazar Aa Libaas-E-Majaaz Mein
Kay Hazaaron Sajday Tadap Rahay Hain Meri Jabeen-E-Niyaaz Mein
Na Bachaa-Bachaa Ke Tuu Rakh Ise, Teraa Aaiinaa Hay Vo Aaiinaa
Kay Shikastaa Ho To Aziizatar Hai Nigaah-E-Aaiinaa Saaz Mein
Na Vo Ishq Mein Rahiin Garmiyaan,
Na Vo Husn Mein Rahiin Shokhiyaan
Na Vo Gazanavii Mein Tadap Rahii
Na Vo Kham Hai Zulf-E-Aayaaz Mein
Main Jo Sar-Ba-Sajadaa Kabhii Huaa, To Zamiin Se Aanay Lagii Sadaa
Teraa Dil To Hai Sanam Aashanaa, Tujhe Kyaa Milegaa Namaaz Mein
Kabhii Aye Haqiiqat-E-Muntazar, Nazar Aa Libaas-E-Majaaz Mein
Kay Hazaaron Sajday Tadap Rahay Hain Merii Jabiin-E-Niyaaz Mein
|