merii tanhaaiiyaan tum hi lagaa lo mujh ko seenay se
ki main ghabaraa gayaa hu is tarah ro-ro ke jeenay se
ye aadhii raat ko phir chuuriyon sii kyaa khanakatii hai
koi aataa hai ke merii zanjiiren chhanakatii hein
ye baata kis tarah main puuchhuu saavan ke mahiine se
ke main ghabaraa gayaa hu is tarah ro ro ke jene se
bahut lambii hain raahen pyaar ki aur zindagii kam hai
ghataa bhi ghir aai hai diye ki lau bhi maddham hai
kinaraa duur hota jaa rahaa hai phir safine se
ke main ghabaraa gayaa hu is tarah ro ro ke jiine se
mujhe piney do apane hii lahuu kaa jaam pine do
na seenay do kisii ko bhii meraa daaman na seenay do
merii vahashat na bar jaaye kahiin daaman ke seenay se
ke main ghabaraa gayaa hu is tarah ro ro ke jiine se !!!!!!
Hussain Ke Dushman Ki Sab Se Bari Baat Yeh Hai
Ke Woh Hussain Ka Dushman Hai...