Nazar uski shararat ki tarah thi
ada lekin muhabbat ki tarah thi
jo pehli bar guzri uske gam mein
vo shab muj par qayamat ki tarah thi
hadis-e-dil the uske ahda va peman
wfa lekin khavat kii tarah thi
tammaney wisalley jane jana
kisi pagal ki vaishat ki tarah thi
mere izhar par uski khamoshi
mujhe darpesh hijrt ki tarah thi
guzarti rah se barat uski
mere khwabo ki mayaat ki tarah thi
gunahki martaqab kab thi mein tanha
ada uski ijazat ki tarah thi
bnavat bhi to ae gazal uski
muhabbat mein haqeqat ki tarah thi...
Hussain Ke Dushman Ki Sab Se Bari Baat Yeh Hai
Ke Woh Hussain Ka Dushman Hai...