Paklon ke Saij Pe Soye Aankhon Ka Pani Hote Hain
Zara Aankh Kholi Ke Beh Jate Hain
Bykhud Si Zindgi Main Muskaan Le Aate Hain
Chand Lamhon Ki Baat Ha Phir Sath Jate Hain
In Ki Qadar Kiye Jayo Tu Nighaon Main Reh Jate Hain
Agle Hi Pal Asmaan Se ZameeN Pe Le Aate Hain
Jazbaat Ka Darya Behta Ha Tu Byqabu Kar Dete Hain
ByBuniyad Se Rishton Ko Kitne Hi Naam De Dete Hain
Jo Sach Na Dekh Payin Kholi Aankhon Se
Wohi Sach Roop Badal Kar Band Aankhon Main Dekhai Dete Hain
Aankhon Ke Pichye Chupe Hote Hain
Sach Ha Sapne Kitne Lachar Hote Hain
Our Kuch Nai Bas Aankhon Ka Pani Hote Hain
Zara Aankh Khole Hi Beh Jate Hain
Sach Ha Sapne Kab Apne Hote Hain
Sapne Tu Bas Sapne Hote Hain
Agar wo pochin tu un se kehna un ka aashiq basta tha yehan
Dikhana un ko wo peepal ka peid
our kehna gaane wo tenhai mein gungunata tha yehan
Le jana un ko darwaze pe our kehna intezar
wo kiya karta tha yehan
Phir rakhna ungli dil pe our kehna
Shikayat karta tha k dard hota ha yehan
~ Bikhre Lamhe ~