Meri ankhon pe marta tha,
meri baton pe hansta tha,
na jane shakhs tha kaisa,
mujhe khone se darta tha,
mujhe jab bhi wo milta tha,
ye hi har bar kehta tha,
SUNO!
agar main bhool jaun to?
agar main rooth jaun to?
kabhi wapis na aaun to?
bhula pao ge ye sab kuch?
yunhi hansti rahogi kia?
yunhi sajti rahogi kia?
yehi batain hain bas us ki,
yehi yadain hain bas us ki,
mujhe itni khabar hai bas,
wo mujhe pyar karta tha,
mujhe khone se darta tha.____

Hussain Ke Dushman Ki Sab Se Bari Baat Yeh Hai
Ke Woh Hussain Ka Dushman Hai...