Ye Pichley ishq ki baten hain
Jab ankh mai khawab damakte thy
Jab dil mai daagh chamakte thy
Jab palke Shehr k Rasto mai
Ushko ka Noor luta te thi
Jab Sanse ujlay chehro ki
Tan man mai Phool Sajati thi
Jab chand ki rim jhim kirno sy
Socho mai bhanwar par jate thy
Jab ik talatam rehta tha
Apney bay ant khiyalo ka
Har ehd sambhalne ki Kasme
Khat Khoon sy likhne ki rasme
Jab aam thi ham dil walo ki
Ab apni ujri ankhoo mai
Jitni roshan si raate hain
Us omer ki Soghaten hain
Jis omer k khawab Khiyal hue
Wo pichle omer thi beet gaye
Wo omer bataye Saal hue
Ab apni deed k rastey main
Kuch rang hai guzrey lamho ka
Kuch ashkoo ki baaraten hain
Kuch bhoole basrey chehre hain
Kuch yaado ki Barsaate hain
Ye pichle ishq ki baate hain ..........
Hussain Ke Dushman Ki Sab Se Bari Baat Yeh Hai
Ke Woh Hussain Ka Dushman Hai...