Koi Tu Ho
|
|
Posts: 7,158
Country:
Star Sign:
Join Date: Feb 2009
Location: canada
Gender:
|
|
Rat Jagon K Sehra Mein Khwaab Jab Ujar Jayin Tum Udaas Mat Hona
Zindagi K Maile Mein Hum Agar Bichar Jayin Tum Udaas Mat Hona
Jin Pe Naam Likhe Houn Un Ujaar Shakhon Par Kab Bahar Aati Ha
Arzoo Ki Tehnai Se Jab Gulaab Jhar Jayin Tum Udaas Mat Hona
Jaan Kya Zaroori Ha Dasht-e-Narsai Mein Ek Dua Bi Poori Ho
Hum Agar Rawajon Ki Sooliyon Pe Char Jayin Tum Udaas Mat Hona
Waqat Ek Drinda Ha Our Hum Sabhi Is Ki Dehshaton Ki Zad Mein Hain
Jab Ye BySakon Lamhe Apni Zid Pe Aar Jayin Tum Udaas Mat Hona
Jaber Ki Fizaon Mein Muskura K Jee lena Ye Bhi Ek Ibadat Ha
Chahe Karb K Saaye Mere Qad Se Bhar Jayin Tum Udaas Mat Hona
Kuch Bi Ho Magar Apne Dilnasheen Tabasum Se Zabt Ka Bharam Rakhna
Chahe Hum Bichad Jayin Kyun Na Hum Ujar Jayin Tum Udaas Mat Hona
Agar wo pochin tu un se kehna un ka aashiq basta tha yehan
Dikhana un ko wo peepal ka peid
our kehna gaane wo tenhai mein gungunata tha yehan
Le jana un ko darwaze pe our kehna intezar
wo kiya karta tha yehan
Phir rakhna ungli dil pe our kehna
Shikayat karta tha k dard hota ha yehan
~ Bikhre Lamhe ~
|