Koi Tu Ho
|
|
Posts: 7,158
Country:
Star Sign:
Join Date: Feb 2009
Location: canada
Gender:
|
|
Ab yehi dua ha ke meri dua ka khabi asar na ho
Is Dil-e-Nadan ki waja se dunia mein koi kasar na ho
Dhondhta chalon khushi ko par aisa khabi manzar na ho
Main kisi our ka gham banon our muje koi khabar na ho
Karvan mere sath chale ye lazim nai ha lekin
Manzil jise na mile khabi aisa koi safar na ho
Teri yaad qayamat tak mere dil ke sath rahe gi
Kandhe pe mere shayid khabi tera sar na ho
Ek raaz ban chuki ha dastan-e-zindagi meri
Ye raaz hi reh jaye gi khabar tuje agar na ho
Mar jayon main Ahdure aisa bi jo din aye
Ke apni hi nazar se girne ka muje koi dar na ho
Agar wo pochin tu un se kehna un ka aashiq basta tha yehan
Dikhana un ko wo peepal ka peid
our kehna gaane wo tenhai mein gungunata tha yehan
Le jana un ko darwaze pe our kehna intezar
wo kiya karta tha yehan
Phir rakhna ungli dil pe our kehna
Shikayat karta tha k dard hota ha yehan
~ Bikhre Lamhe ~
|