Koi Tu Ho
|
|
Posts: 7,158
Country:
Star Sign:
Join Date: Feb 2009
Location: canada
Gender:
|
|
dil ka dard jo khol ke sunaya us ne
sari fiza ko ghamgin benaya us ne
is se bhar kar wafa ki misaal kaya ho gi?
mere aanson ko khud behaya us ne
rah-e-gard main ghum tha sadiyon se
pathar se phir insaan benaya us ne
hasi ka selaab le ke aya aankhon main
mere aanson ko khub hasaya us ne
laga ke marz muje raaton ko jagne ka
meri palkon pe khabon ko sajaya us ne
kar ke wah wah mere dil ke chhalon pe
apne dil ko omar bhar behlaya us ne
muj se chupa ke usne apna chehra
barson mere sabar ko aazmaya us ne
utarne ko karz mere pyaar ka dekho
meri lash ko aason se nehlaya us ne
Agar wo pochin tu un se kehna un ka aashiq basta tha yehan
Dikhana un ko wo peepal ka peid
our kehna gaane wo tenhai mein gungunata tha yehan
Le jana un ko darwaze pe our kehna intezar
wo kiya karta tha yehan
Phir rakhna ungli dil pe our kehna
Shikayat karta tha k dard hota ha yehan
~ Bikhre Lamhe ~
|