Koi Tu Ho
|
|
Posts: 7,158
Country:
Star Sign:
Join Date: Feb 2009
Location: canada
Gender:
|
|
Ik shab aankh kinare
Neend se pehle aao
Khwab-e-safar par sath chalin ge
Ik dooje ka hath pakar kar
Jhoote sache ehed karin ge
Main kuch un dekhe sapnon ki
Ungli tham ke le aayon ga
Tum kuch ruh pehli taberin
Zaad-e-safar ke taur par lana
Ho sakta haikhwab-e-safar main
Baarish bi ho andhi bi ho
Ho sakta ha tufanon ne
Shart safar se bandhi bi ho
Ho sakta ha kuch jugnoo kuch tare
Apni rah main aayin
Ho sakta ha ghor andhere main hi
Hum donon kho jayin
Is jungle main nadi kinare
Thore sapne bo aayin ge
Our behti nadi main donon
Gham ki gard bi dho aayin ge
Ik bargad ke pair ke neeche
Tere shane par sir rakh kar
Main apne sab dukh ro loun ga
Tum apni jalti aankhon par
Meri barf hatheli rakhna
Tum yaadon ke roshan jugnoo
Apni muthi main bhar lena
Main bi aanchal ke pehlu main
Ujli yaadin rakh layon ga
Is dauraan hi khwab ki shehzadi
Hum donon se hath chura kar
Such ki bheer main kho jaye gi
Chahe such kitna karwa ho
Dukh ko maat tu ho jaye gi
Phir tum Neend nagar ko jana
Main khwabon main reh jayon ga
Ik shab aankh kinare
Neend se pehle aao
Khwab-e-safar par sath chalin ge
Agar wo pochin tu un se kehna un ka aashiq basta tha yehan
Dikhana un ko wo peepal ka peid
our kehna gaane wo tenhai mein gungunata tha yehan
Le jana un ko darwaze pe our kehna intezar
wo kiya karta tha yehan
Phir rakhna ungli dil pe our kehna
Shikayat karta tha k dard hota ha yehan
~ Bikhre Lamhe ~
|