Woh Apnay Ishq May Kaisa Kamaal Rakhta Hai
Ke Be-Rukhi May Bhi , Mera Khayaal Rakhta Hai
Jo Aaj Mera Nahien Hai Woh Kal Mera Ho Ga
Kay Har Zamaana Uroj-o-Zawaal Rakhta Hai
Ajab Nahin K Zamanay Bhar Ko Bewafa Samjhe
Nazar Mein Meri Wafa Ki Misaal Rakhta Hai
Kaha Talak Koi Dast-e-Karam Ko Zehmat Dey
Tamaam Shaher Hi Dast-e-Sawaal Rakhta Hai
Meri Uraan Ke Aagay Hai Kis Qadar Bey-Bas
Yeh Aasmaan Jo Sitaaroon Ka Jaal Rakhta Hai
Tera Khayaal Hi Kuch Meherbaan Hai Warnaa
Jahaan Mein Koun Kisi Ka Khayaal Rakhta Hai
Woh Apnay Ishq May Kaisa Kamaal Rakhta Hai
Ke Be-Rukhi May Bhi , Mera Khayaal Rakhta Hai
.
Ajab Tamasha-Gar Hain Matti k ye Putlay "SAQI"
Bewafai Karo to Rote Hain, Wafa karo to Rulate Hain
Last edited by momal ali; 05-25-2009 at 09:21 AM..