Shor ke is Ghere main hai khamosh tenhai
Apni hi mehfil main ha khud ruswai ruswai
Pathar ban geya ye dil us ke pyar main
Bybas sa tadapta ha bas us ke har vaar pe
Jo pyar ke badle main vaar karta ha tanon ki
Chup chup siske ye dil lash liye armanon ki
Jis ko sunate the har baat dil ki
Usi ne khamosh kar di har awaaz dil ki
Pathar sa dil ab zubaan nai dhonta
Par dard us main ab bi ha sisak sisak kar rota
Kaash us se Ahsas hota jo zakhm diye ja reha ha
Koi khamoshi se har pal us ke dard sahe jaa reha ha
Labon par khamoshi ne ek dera dala ha
Girte howe Aashkon ko sanate ne sambhala ha
Ye dil pathar ban geya par pyar nibhana janta ha
Ek bywafa se pyar ha ye Ahsas purana janta ha
Aaj meri tenhai bahut udaas ha
Isl iye wo khamoshi ke paas ha
Chupya nai khamoshi se us ne kuch bi
Har chuppi main baat ek khaas ha
Rulane se pehle ek baar hasaya tu hota
qasoor kya he is dil ka ye bataya tu hota
Mili saza us khta ki jo na ki khabi ham ne
Kash ye dil khabi kahi lagaya na hota