Bohat muddat se aisa hai,
k tum khamosh rehte ho
koi gehra hai ghum shayed,
jise chup chup sehte ho
yunhi chalte huay tanha,
koi ghamgeen sa naghma
tum aksar gungunate ho,
dooran-e-guftagu yunhi
milian nazron se jab nazrain,
tu batain bhool jaate ho
kisi gum sum si haalat mein,
ya phir barish k mosam mein
fakat itna hi kehte ho,
udasi be-wajah si hai
bohat bhojal tabiyat hai,
bhala sach kiyon nahi kehte,
KISI KO YAAD KARTE HO
Tere Dil Main Meri Sanso Ko Panah Mil Jaey
Tere Ishq Main Meri Jaan Fana Ho Jaey