Koi Tu Ho
|
|
Posts: 7,158
Country:
Star Sign:
Join Date: Feb 2009
Location: canada
Gender:
|
|
tumhin apne jehan se mitana chaha par mita na saka
itni shiddat se to khud ko bi yaad na main aa saka
aankhon mein chupaya tum ko har gham se bacha ke
ashq apne ranjish-e-gham mein bi main baha na saka
nazar na lag jaye zamaane ki chupaya palkon mein
ab chaha kar bi tere deedar ka lutf main utha na saka
mehfil mein teri majood the kitne haseen chehre
ek tu hi dil mein mere our kahin dil main laga na saka
raat ko rehnuma bana kar chalta reha teri talash mein
Neend khwabon ke liye bi tere main bacha na saka
gher liya ha muj ko mere gham ke andheron ne aise
khat the teri yaadon ke magar main jala na saka
bysabab nai thi dil ki byqarari meri Muhabbat
dil-e-bytaab ka ye haal tum ko bi main na bata saka
ab jalta houn aatish-e-ishq mein tu na jale khudaqari
aag barson ki lagi seene mein jise main bhuja na saka
Agar wo pochin tu un se kehna un ka aashiq basta tha yehan
Dikhana un ko wo peepal ka peid
our kehna gaane wo tenhai mein gungunata tha yehan
Le jana un ko darwaze pe our kehna intezar
wo kiya karta tha yehan
Phir rakhna ungli dil pe our kehna
Shikayat karta tha k dard hota ha yehan
~ Bikhre Lamhe ~
|