Koi Tu Ho
|
|
Posts: 7,158
Country:
Star Sign:
Join Date: Feb 2009
Location: canada
Gender:
|
|
Baat ati ha zuban par magar keha nai jata
Dil-e-Bytaab ka ye haal bi ab seha nai jata
Unhin aankhon main basaya ha sab gham se bacha k
Rangish-e-gham main ashq apne main beha nai pata
Nazar na lag jaye zamane ki chupaya palkon main
Ab chah kar bi tere deedar ka luft main utha nai pata
Raat bhar kare deedar tera aasman main ye aankhin
NeiNd tere khwabon ke liye bi main bacha nai pata
Gher liya ha muj ko tenhiyon ke andheron ne aise
Pane ha teri yaadon ke magar main jala nai pata
Koshish karta tu shayid tuje bhoa deta magar
Aayinon main tere aksh ko main chupa nai pata
Youn tu kahi dardon ki dava ban jati hain ye zubaan
Afsos ise apne ghao marham main bana nai pata
Baat itni si hoti tu shayid keh deta main ro kar bi
Aag barson ki lagi seene main jise main bujha nai pata
Kahi badnaam na ho jaye muhobbat meri is dar se
Apni likhi howi nazmon ko bi main gunguna nai pata
Jism main basaya tha Khudya Ahdure ne tuje ah dost
Ghut ghut k tu na mar jaye khud ko dafna nai pata
Agar wo pochin tu un se kehna un ka aashiq basta tha yehan
Dikhana un ko wo peepal ka peid
our kehna gaane wo tenhai mein gungunata tha yehan
Le jana un ko darwaze pe our kehna intezar
wo kiya karta tha yehan
Phir rakhna ungli dil pe our kehna
Shikayat karta tha k dard hota ha yehan
~ Bikhre Lamhe ~
|