koi mujh ko mera bharpoor sarapa laa dey
mere bazo, meri Aanken, mera chehra laa dey
aisa dariya jo kisi aur samandar mein girey
is sey behter hai kai mujh ko mera sehra laa dey
naya mousam meri beenaye ko tasleem nahi
meri Aankhon ko wohi khuwab purana laa dey
koi khuwahish nahi tujh se aey umr-e-rawan
mera bachpan, mere jugnoo, meri guriya laa dey
jis ne bachpan mai mujhey dhoop sey mehfooz rakha
wohi khushboo, usi mitti ka gharonda laa dey
jis ki Aankhen mujhey ander se bhi perh sakti hon
koi chehra tou mujhey shahar mai aisa laa dey
kashti-e-jaan to bhanwar mai hai kaye barson se
aye Khuda ab to dubo dey ya kinara laa dey ..
Hussain Ke Dushman Ki Sab Se Bari Baat Yeh Hai
Ke Woh Hussain Ka Dushman Hai...