MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community - View Single Post - Mere ghar koi nai aye ga
View Single Post
(#1)
Old
~ Bikhre Lamhe ~ ~ Bikhre Lamhe ~ is offline
Koi Tu Ho
 


Posts: 7,158
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Feb 2009
Location: canada
Gender: Male
Unhappy Mere ghar koi nai aye ga - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   05-16-2009, 07:42 PM










tum jab kal aye the
mere ghar tak
our ruk gaye the bas dar tak
main sochata reha darwaze par kyon khara ha?
dair baad main samjha wo tum hi the
apni parchai ke sath
our tuamhre saaye ka qad tum se bi bara ha

tum mere darwaze se aa sakte ho
tumhara saaya nai aa sakta
tum bare bi hote tu jhuk ke chale ate
tumhara saaya sar nai jhuka sakta
mere ghar nai aa sakta

mere ghar ka har kamar har deewar choti ha
har bari sheh bahir se lauti ha
tumahre saaye ke pas sab kcuh bara ha
tum tumhare saaye ko chor ke kahi nai jate
isi liye tum bahir ho
saaya bi bahir khara ha

ab tumahre muj tak ane ki koi surat nai ha
tum muj se alag sahi
phir bi tumhin chahta houn par
tumahre saaye ki muje zarorat nai ha
jo jhuk nai sakta
mere chote gharon main ruk nai sakta
jo ruk nai sakta
dil use ghar main rakh nai sakta

main jan gaya houn main tumhin bulta rahon ga
tumhara wajood saaye ko
chor ke nai aye ga
ab tum bi chale jayo ge
saaya bi chala jaye ga
mere ghar koi nai aye ga

main Muhabbat houn
yahan jo bi ata ha jhuk ke ata ha
jis ka saaya bara ha
wo saaye ko
darwaze se bahir rakh ke ata ha

main jaan geya houn main tumhin bulta rahon ga
tumhara wajood saaye ko
chor ke nai aye ga
ab tum bi chale jayo ge saaya bi chala jaye ga
mere ghar koi nai aye ga

 






Agar wo pochin tu un se kehna un ka aashiq basta tha yehan
Dikhana un ko wo peepal ka peid
our kehna gaane wo tenhai mein gungunata tha yehan
Le jana un ko darwaze pe our kehna intezar
wo kiya karta tha yehan
Phir rakhna ungli dil pe our kehna
Shikayat karta tha k dard hota ha yehan

~ Bikhre Lamhe ~
Reply With Quote Share on facebook
Sponsored Links