Khuwab toot jatai hain
bheer mai zamanai k hath choot jatay hain
Dost daar lehjun mai silwtain c parti hain
Ek zara si ranjish sai
Shak ki zard tehni per phool badgumani k
Is tarhan sai khiltay hain
Zindagi sai pyaray bhi
Ajnabi sai lagtai hain
Ghair ban k miltay hain
Umar bhar ki chahat ko asra nahi milta
Khamoshi k wakfun ko asra nahi milta
Mazrat k lafzun ko roshni nahi milti
Lazt e pazeerai phir kabhi nahi milti
Phool rang wadun ki
Manzlain sukarti hain
Rah murnai lagti hain
Be rukhi k gehrai sai be dile ki mati sai
Faslay ki eentun sai eent jurnay lagti hai
Khuwab toot jatay hain
khaak urnay lagti hai
Wehmoun k saai sai, umar bhar ki mehnat ko
Pal mai toot jatay hain
Ek zara si ranjish sai
Sath toot jatay hain..
Hussain Ke Dushman Ki Sab Se Bari Baat Yeh Hai
Ke Woh Hussain Ka Dushman Hai...