bachpan k dukh b kitny achy hoty hain
tab to sirf khilony toota krty thy,
wo khushian b kaisi khushian theen
titlee k par nooch k uchla karty thy,
paon mar k khud pani main
apni nao app doboya karty thay,
ab sochain to choot c parti hai dil par
app bana k app khilony tora karty thay,
choty thay makar o fareeb b chooty thay
dana daal k chiriyan pakra karty thay,
apny jal jany k ehsas b na tha
jalty shooloon ko chaira karty thay,
khushboo k urty he kiun murjhaya phool
kitny bhooly paan say pocha karty thay,
aaj b to tabeerain laho rulati hain
bachpan main jo ham sapny dekha karty thay,
ab to aik ansu b ruswa kar jata ha
bachpan main gee bhar k roo lia krty thay ...
Hussain Ke Dushman Ki Sab Se Bari Baat Yeh Hai
Ke Woh Hussain Ka Dushman Hai...