Mumkin ho aap se tuo bhula dijyey mujhay
Pathar pe hoon lakeer, mita dijyey mujhay
Hur rooz mujh se taaza shikayat hai aap ko
Main kia hoon, aik baar bata dijyey mujhay
Mere siwa bhi hai koi mozoo-e-guftugu
Apna bhi koi rang dikha dijyey mujhay
Ki main ne apne zakham ki tashheer ja baja
hum mantey hein jurm, saza dijyey mujhay
Shab bhar kiran kiran ko tarasney se faida
Hai tairgi tou aag laga dijyey mujhay
Youn tou shoola-e-jaan sard ho chuka
Laikin sulag uthoon tou hawa dijyey mujhay