Tum nay dil ki baat keh di aaj yeh acha hua
Hum tumhain apna samjhtay thay bara dhoka hua
Jab bhi humnay kuch kaha uus ka asar ulta hua
Aap shayad bhooltay hain baar baar aisa hua
Aap ki ankhon mein yeh aanson kahan sai aagae
Hum tu deewanay hain laikin aap ko yeh kya hua
Ab kisi sai kya kahain umair apni dastaan
Bas khuda ka shukar hai jo bhi hua acha hua...
|