|
|
Posts: 84,290
Country:
Star Sign:
Join Date: Aug 2008
Gender:
|
|
Dhundhati hai tujh koo meri yeh nazar.
keya hoo gaya hai abb nahi hai khabar.
tanhaiyon main rahnay laga hun main.
bas mill jaye kaheen mujhe, mera humsafar.
Kaheen to millega, yaron kabhi to millega.
Dill main joo phool hai, kabhi to khillega.
Nazarain bichaye baitha har gali, har Shahar.
Dhundhati hai tujhe koo meri yeh nazar..... mera humsafar.
Ratain abb to kat-ti nahi.
Wooh meri nazar say hat-ti nahi.
Uss kay liye main huun beqarar.
bas ab uss kaa hie hai intezaar.
Kaat nahi sakta abb main uss kay bin, koi safar.
Dhundhati hai tujhe koo meri yeh nazar......mera humsafar.
Wooh sapnoo main meray attie hai.
Mujhe koo chupkay say bataatie hai.
Main payaar tujhe say karttie huun.
Yaar main bhi tujhe pay marttie huun.
Kaheen tutay na yeh sapna,mujko lagata hai dar.
Dhundhati hai tujhe koo meri yeh nazar......mera humsafar.
Dhundhati hai tujhe koo meri yeh nazar.
Keya hoo gaya hai abb nahi hai khabar,
Tanhaiyon main rahnay laga huun main,..
|