|
|
Posts: 84,290
Country:
Star Sign:
Join Date: Aug 2008
Gender:
|
|
~Tanha Udaas Shamon Me~
Tanha udaas shamo main
ab kiyun phira karoon main
mujhe bhool janay walay
tujhe yaad kia karoon main
tere baad meri jana
ye sooch lia hai main nay
buhut ro lia hai ab tak
magar ab hansa karoon main
wafa nay woh di hai thokar
ke sambhalna hoa hai mushkil
wafa ka hai yehi hasil
to kiyun na jafa karoon main
muhabbat ki thi sirf main nay
saza kiyun mili hai mujh ko
saza mil gaee hai phir to
ab koi khata karoon main..
|