usay main bhi bhuladounga mujhay wo bhi bhula deyga
ye terz-e-zindagi hum ko gham-e-doraaN sikha deyga
wo mujh se dor ho ker bhi apnay dil ko saza deyga
likhay ga naam mera rait per aur phir mita deyga
kisi insan ko insan bhla deyga tu kia deyga
jo deyta hai Allah deyta hai jo deyga Allah deyga
ager hu jurat-e-baybaak tu sab kuch tumhara hai
ager bayhiss rahyay tu ye jahan tum ko mita deyga
mujhay maloom hai mujh se bari chahat se milta hai
mager ik din bicher k dil main wo toufaaN utha deyga
humari qadr o qeemat ka usay ehsas hee kab hai
mager roay ga pehroOn wo humein jub youn ganwa deyga
bhula sakta nahi umai main usss ko kisi pal bhi
magr wo shakhs aisa hai mujhay pal main bhula deyga...
|