 |
|
|
Posts: 19,769
Country:
Star Sign:
Join Date: Dec 2008
Location: lahore
Gender:
|
|
Khamoshi Khud apani sada ho aisa bhi ho sakta hai
Sannata hi gunj raha ho aisa bhi ho sakta hai
Mera mazi mujh se bichar kar kya jane kis hal mai hai
Meri tarah wo bhi tanha ho aisa bhi ho sakta hai
Sahara sahara kab tak main dhoondoon ulfat ka ek alam
Alam alam ik sahara ho aisa bhi ho sakta hai
Ahl e tufan soch rahe hain sahil Duba jata hai
Khud un ka dil Dub raha ho aisa bhi ho sakta hai
|