humain mehsoos hota hai zamanay ki tara tum bhi
mohabbat k haseen khamoosh jazboon per
buhat kuch sunna chahtay ho
magar apni tabyat k humain
izhaar jazbon ka kabhi acha nahi laagta
suna hai pyaar ka din hai
tu hum apni pasand na pasand ko
ab k balay taak rakhtay hain
tumhari hai khushi is main
tu kehtay hain haya kaisi
chalo hum keh hi detay hain
humain tum say MUHABBAT hai
Tere Dil Main Meri Sanso Ko Panah Mil Jaey
Tere Ishq Main Meri Jaan Fana Ho Jaey