Ek Wo Ke Faqat Rooth Ke Jane Ke Liye Tha
Or Mein Ke Usey Roz Manane Ke Liye Tha
Hum Jis Ki Tamana Mein Hue Taaraq_e_Duniya
Wo Shakhs Kisi Or Zamane Ke Liye Tha
Ghairon Ke Liye Tum Ne Jise Tor Diya Tha
Wo Ehad_e_Rafaqat Tu Nibhane Ke Liye Tha
Har Baar Wo Dhone Se Numaya Hi Hua Hai
Ek Dogh Jo Us Dil Se Mitane Ke Liye Tha
Us Ko Tu Kabhi Mujh Se Mohabbat Hi nahi Thi
Ye Khel Tu Duniya Ko Dikhane Ke Liye Tha
Main bhi kitni pagal hoon na
Sang hawa k urna chahoon
Titli ban kar nagri nagri
Gulshan Gulshan phirna chahoon
Phooloon k sab rang chura kar
Chunri apni rangna chahoon
Main bhi kitni pagal hoon na