Deknaa hay wo mujh par mehruban kitna hay.
Asliyat kahaa tak hay awar guman kitna hay.
Kia Panah deti hay awar ye zameen mujh ko.
awar abhi merey sar par Aasmaan kitna hay.
kuch khabar nahi ati kis rawish pe hay toofan.
awar katta pattha Baqi Baad-Baan kitna hay.
Torr Phorr karti hay Roz khwahishey dil main.
Tang inn makeenoo se yeh makan kitna hay.
kia Utthaye phirta hay Baar-e-ashiqi sar par.
awar dekhne main wo Dhaan Paan kitna hay.
Harf-e-Aarzoo Sunn kar jaanchne lagaa yani.
Is main Baat kitni hay awar bayaan kitan hay.
Phir Udaas kardegi Sar - sari Jhalak Uss ki.
Bhool kar yeh dil Uss ko Shaadman kitna hay.
Hussain Ke Dushman Ki Sab Se Bari Baat Yeh Hai
Ke Woh Hussain Ka Dushman Hai...