Wo jo aa jate the ankhoon me sitaare le ker
Jaane Kis Des gai Khwaab hamare le ker
Chaa'aon me Bethne wale hi to sab se pehle
Pair Girta hai to aa jate hain Aa're le ker
Wo Jo Asooda'e Saaahil Hain,Unhe Kya maloom
Ab K Mauj aai to Palte gi kinare le ker
Sheher waloon ko kahain Yaad hai wo Khawaab Farosh
Phirta Rehta Tha Jo Galyoon me Gubaare le ker
Naqde Jaan Sarf hoa Kulfate Hasti me Faraaz
Ab jo zindaa hain to Kuch Sansaain Udhare le ker
Yea Ghazal Ahmed Faraz kee hai ..! Ajj woh Humare Darmeeyaan nahin hain ...per On ki yea NAzmain Yea Ghazalain hamesha humaray sath rahay ge or Hum LogoUn ko Un ki YAAD Dil Latti rahaygi ..
Allah Unhaay JANNAT mai Jannat-e-FIRDOs Ata farmaye.. Ameen Summa Ameen ..!
’’بہترین کلام اللہ کا کلام
( قرآن کریم ) ہے اور بہترین ھدایت و طریقہ
حضرت محمد صلی اللہ علیہ و سلم کا لایا ھوا دین ہے ۔،