Musalsal rokti hun usko shehar-e-dil me aane se
magar woh kohkun rukta nahi deewar dhane se
Bhala kya dukh ke angan me sulagti ladkiyan jaane
kahin chhupte hain ansu anchalon me muh chhupane se
Abhi to fasl taza hai hamare hurf o maani ki
abhi darte nahi hum mausamo ke aane jaane se
Abhi to ishq me ankhe bujhi hain dil salamat hai
zameene banjh hoti hain kabhi faslen jalane se
Tujhe tanha mohabbat ka dariya paar karna hai
nidamat hogi uske hauslon ko aazmane se
Hame kis zarf ke kirdar ke qisse sunata hai
tujhe E shehar hum bhi jante hain ek zamane se
Tujhe bhi zabt-e-gham ke shauq ne patthar bana dala
tujhe E dil bohot roka tha rasm-o-raah nibhane se..
Hussain Ke Dushman Ki Sab Se Bari Baat Yeh Hai
Ke Woh Hussain Ka Dushman Hai...