MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community - View Single Post - Kaun kehta hai ke maut aayi to mar jaunga
View Single Post
(#1)
Old
Aftab Afi's Avatar
Aftab Afi Aftab Afi is offline
 


Posts: 2,364
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Dec 2013
Location: Pakistan
Gender: Male
Default Kaun kehta hai ke maut aayi to mar jaunga - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   11-12-2014, 03:18 PM

Kaun kehta hai ke maut aayi to mar jaunga,
Main to darya hoon samandar mein utar jaunga,
Tera dar chhod ke Main aur kidhar jaunga,
Ghar mein ghir jaunga sehara mein bikhar jaunga,
Tere pahlu se jo uthunga to mushkil yeh hai,
Sirf ek shaKhs ko paunga jidhar jaunga,
Ab Tere shehar mein aunga musafir ki tarah,
Saya-e-abr ki manind guzar jaunga,
Tera paiman-e-wafa rah ki diwar bana,
Warna socha tha ke jab chahunga mar jaunga,
Chrasazon se alag hai Mera mayar ke Main,
ZaKhm khaunga to kuch aur sanvar jaunga,
Ab to Tum ko dube hue sadiyan guzrin,
Ab use dhundne Main ta-ba-sahar jaunga,
Zindagi shamma ki manind jalata hun ‘Umar’
Bujh to jaunga magar subah to kar jaunga..........

 



Reply With Quote Share on facebook
Sponsored Links