|
|
Posts: 27,062
Country:
Join Date: Dec 2010
Location: Lahore
Gender:
|
|
Ja zindagi Madiney se jhonkay hawa k la
Shyd “Huzoor” hum se khafa hain mana k aa
Kuch hum bhi apna Chehra-e-Batil sanwar lein
“Abu Bakar” se aina “Ish-o-Wafa ka la
duniya bohat hi tang musalman pe ho gai
“Farooq” k zamane ka naqsha utha k laa
Mehroom kar dia humein jin se nigah ne
“Usman” se wo zevar Shar-o-Haya k laa
Maghrib mein mara mara na phir aey Gada-e-Elm
Darwaza-e-Ali se ye kherat ja ka laa
Batal se dab rahi hai phir ummat “Rasool” ki
Manzar zara “Hussain” se kuch Karbala se la
|