|
|
Posts: 84,290
Country:
Star Sign:
Join Date: Aug 2008
Gender:
|
|
Meri Tarhan Kisi Se Muhabbat Usay Bhi Thi
Zikar E Shab E Faraq Se Vehshat Usay Bhi Thi
Meri Tarhan Kisi Se Muhabbat Usay Bhi Thi
Mujh Ko Bhi Shouq Tha Naye Chehron Ki Deed Ka
Rasta Badal Ke Chalnay Ki Adat Usay Bhi Thi
Us Raat Dare Tak Wo Raha Mehv e Guftgu
Masroof Mein Bhi Kam Tha Faragat Usay Bhi Thi
Mujh Se Bichar Ke Shehar Mein Ghul Mil Gaya Wo Shakhs
Halankay Shehar Bhar Se Adawat Usay Bhi Thi
Wo Mujh Se Barh Ke Zabt Ka Aadi Tha Ji Gaya
Warna Har Aik Sans Qayamat Usay Bhi Thi
Sunta Tha Wo Bhi Sab Se Purani Kahania
Shayad Rafaqton Ki Zaroorat Osay Bhi Thi
Tanha Huwa Safar Mein To Mujh Pe Khula Yeh Bhaid
Saye Se Pyar Dhoop Se Nafrat Usay Bhi Thi
Mein Us Se Keh Na Saka Yoon Bhi Haal e Dil
Dar Paish Aik Taza Moseebat Usay Bhi Thi !!
|