Kuch is tarhan se usse pyar karna parta hai
K apne pyar se inkar karna parta hai
Kabhi kabhi tu wo itna qareeb hota hai
K apne aap ko deewar karna parta hai
Khuda ne usko ata ki hai wo masehae
K khud ko jaan k bemar karna parta hai
Wafa ki rah mein dushwariyan tu ati hain
Wafa ki rah ko humwar karna parta hai
Wo hath rakh k mere dil pe jab puchta hai
Tu mujhe dard se inkar karna parta hai...!!