|
|
Posts: 27,062
Country:
Join Date: Dec 2010
Location: Lahore
Gender:
|
|
Ho kar sharminda gunnaho se kahin sar jhuka to sahi
Wo kardega muaaf tujhe do ashk baha to sahi
Rahe gi chandi qabar mein bhi sath tere
Tu iss ki yad dil se zara laga to sahi
Na rahe ga tu mohtaj kabhi kisi ka
Kia hai ahad jo khuda se tu nibha to sahi
Wo ghafoor-o-Raheem sunta hai dua sab ki
Aey nadaan hath utha k daman phaila to sahi
|