 |
|
|
Posts: 28,336
Country:
Star Sign:
Join Date: Jan 2012
Location: Maa ki duaon mey
Gender:
|
|
kaise ayega tere khadokhal ka mausam
kaise ayega tere khadokhal ka mausam
kismaton main likha hai jab zawaal ka mausam
kisnay khel khela hai kis ne hijr jheela hai
ab guzar gaya jaana is sawaal ka mausam
kis tarhaan se mumkin tha ik shakh pe khiltay
main kay hijr ka lamha tu wasaal ka mausam
dil kay ab tu sehra hai aur aisaY sehra main
jaanay kab talak theray ab malaal ka mausam
aj tak bhi tehra hai dil ki rehguzaaron per
tere lams ka tere khadokhal ka mausam
hum kabhi to dekhay gay wehshaton kay sehra main
aye khuda mohabbat kay aitedaal ka mausam
Be Positive... Everything Gonna be Alright
 
|